bin dekhe us ke jawe ranj o azab kyun kar
wo KHwab mein to aawe par aawe KHwab kyun kar
pas us ne jo biThaya dil aur tilmilaya
ab jaega KHudaya ye iztirab kyun kar
wo jab se hai safar mein dil muztarib hai bar mein
baiThen hum apne ghar mein KHana-KHarab kyun kar
saqi firaq-e-jaanan halq apne ka hai darban
utre gale se phir yan qirt-e-sharab kyun kar
ghamgin hain jis ke gham se waqif nahin wo hum se
yarab phir is alam se ho sabr-o-tab kyun kar
wan hai sawal har dam rakhiye milap kam kam
hairan hain ki den hum is ka jawab kyun kar
chhoTa hai sin tumhaara mukhDa hai pyara pyara
phir ho bhala gawara sharm-o-hijab kyun kar
mujh ko to hai ye hairat aisi rahi jo ismat
to hoga sarf-e-ishrat ahd-e-shabab kyun kar
ab taur ki to apne 'jurat' ghazal suna de
dekhen to is ke honge sher intiKHab kyun kar
Ghazal
Bin dekhe uske jawe ranj o azab kyun kar
Jurat Qalandar Bakhsh