اردو हिंदी
Bikte hain shahr mein gul-e-be-Khaar har taraf | Shaahi Shayari
bikte hain shahr mein gul-e-be-Khaar har taraf

Ghazal

Bikte hain shahr mein gul-e-be-Khaar har taraf

Mushafi Ghulam Hamdani

;

bikte hain shahr mein gul-e-be-KHar har taraf
hai baghban ki garmi-e-bazar har taraf

kya fasl-e-gul phir aai jo karte hain zamzama
dam-e-qafas mein murgh-e-giraftar har taraf

koThe pe us ke phenkun main kis rah se kamand
kam-baKHt pasban to hain bedar har taraf

tode jahan the us ke shahidon ki KHak ke
tir us ne mare naz se do-chaar har taraf

jab us ki barq-e-husn se parda hua hai wa
zae hue hain talib-e-didar har taraf

aashiq ko us gali se nikalen the jab ba-zor
paDti thi chashm-e-hasrat-e-didar har taraf

dawat hai kis ki bazm-e-falak mein jo kab se hain
aankhen lagae raKHna-e-diwar har taraf

sabit bacha na kafir o din-dar tak koi
tegh-e-nigah ne us ki kiye war har taraf

saude mein justuju ke teri ai mata-e-husn
sar marte phiren hain KHaridar har taraf

parwaz ka jo shauq hai bulbul ke musht par
kunj-e-qafas mein uDte hain na-chaar har taraf

hairan hun main ki kis ka ye kucha hai jis ke bich
TukDe hue paDe hain tarah-dar har taraf

ghaugha hai sharq o gharb o junub o shumal mein
fitne jaga gai teri raftar har taraf

go main hua muqim to kya Dar hai 'mushafi'
sair o safar mein hain mere ashaar har taraf