اردو हिंदी
Bikhri thi har samt jawani raat ghaneri hone tak | Shaahi Shayari
bikhri thi har samt jawani raat ghaneri hone tak

Ghazal

Bikhri thi har samt jawani raat ghaneri hone tak

Shayan Quraishi

;

bikhri thi har samt jawani raat ghaneri hone tak
lekin main ne dil ki na mani raat ghaneri hone tak

dard ka dariya baDhte baDhte sine tak aa pahuncha hai
aur chaDhega thoDa pani raat ghaneri hone tak

aag pe chalna qismat mein hai barf pe rukna majburi
kaun sunega apni kahani raat ghaneri hone tak

us ke bina ye gulshan bhi ab sahra jaisa lagta hai
lagta hai sab kuchh be-mani raat ghaneri hone tak

KHun-e-jigar se hum ko charaghan karna hai so karte hain
apni hai ye rit purani raat ghaneri hone tak

jin honTon ne pyase rah kar hum ko apne jam diye
yaad karo un ki qurbani raat ghaneri hone tak

dil mein apne zaKHm-e-tamanna aankhon mein kuchh KHwab liye
barson hum ne KHak hai chhani raat ghaneri hone tak