bikhre to phir baham mere ajza nahin hue
sarzad agarche moajaze kya kya nahin hue
jo raste mein khet na sairab kar sake
kyun jazb dasht hi mein wo dariya nahin hue
insan hai to panw mein laghzish zarur hai
jurm-e-shikast-e-jam bhi beja nahin hue
hum zindagi ki jang mein haare zarur hain
lekin kisi mahaz se paspa nahin hue
insan hain ab to muddaton hum dewta rahe
shaklen nahin banin jo hayula nahin hue
Thahro abhi ye khel mukammal nahin hua
ji bhar ke hum tumhaara tamasha nahin hue
har sar se aasman ki chhat uTh nahin gai
kab tajrabe mein shahr ye sahra nahin hue
'shaukat' dayar-e-shauq ki raunaq unhi se hai
jo apni zat mein kabhi tanha nahin hue
Ghazal
Bikhre to phir baham mere ajza nahin hue
Shaukat Wasti