bikhre hue taron se meri raat bhari hai
ye nur hai ya nur ki daryuza-gari hai
hai aaj bhi pahlu mein wahi zaKHm-e-bahaaran
ab tak meri aankhon mein har ek shaKH hari hai
duniya mein andheron ke siwa aur raha kya
ek teri tamanna so charagh-e-sahari hai
ab sath na de paenge TuTe hue bazu
uDte hue lamhon se meri ham-safri hai
har lahza badalti hui aankhon pe na jao
dil ke liye ummid-e-faza be-KHabari hai
jalwe ki basirat ko samajhti nahin aankhen
aaine ka maqdur pareshan-nazari hai
uDte hue aate hain abhi sang-e-tamanna
aur kar-gah-e-dil ki wahi shishagari hai
chup-chap darichon ki taraf dekhte phirna
zinda hain to 'shahzad' yahi dar-badri hai
Ghazal
Bikhre hue taron se meri raat bhari hai
Shahzad Ahmad