bikhre bikhre sahme sahme roz o shab dekhega kaun
log tere jurm dekhenge sabab dekhega kaun
hath mein sone ka kasa le ke aae hain faqir
is numaish mein tera dast-e-talab dekhega kaun
la uTha tesha chaTanon se koi chashma nikal
sab yahan pyase hain tere KHushk lab dekhega kaun
doston ki be-gharaz hamdardiyan thak jaengi
jism par itni KHarashen hain ki sab dekhega kaun
shaeri mein 'mir' o 'ghaalib' ke zamane ab kahan
shohraten jab itni sasti hon adab dekhega kaun

Ghazal
Bikhre bikhre sahme sahme roz o shab dekhega kaun
Meraj Faizabadi