bikhre bikhre baal aur surat khoi khoi 
man ghayal karti hain aankhen roi roi 
malbe ke niche se nikla man ka lasha 
aur man ki godi mein bachchi soi soi 
ek larazte pal mein banjar ho jati hain 
aankhon mein KHwabon ki faslen boi boi 
sard hawaen shahron shahron chiKHen laen 
marham marham KHema KHema loi loi 
main to pahle hi se bar liye phirta hun 
tan ke andar apni jindDi moi moi 
jiwan ka sailab umaDta hi aata hai 
lekin Dhor hazaron banda koi koi 
raat aakash ne itne ashk bahae 'aslam' 
sari hi dharti lagti hai dhoi dhoi
        Ghazal
Bikhre bikhre baal aur surat khoi khoi
Aslam Kolsarii

