bikhra ke hum ghubar sa wahm-o-KHayal par
patton ki tarah Dolte phirte hain mal par
apne hi panw bas mein nahin aur yar log
tanqid kar rahe hain sitaron ki chaal par
ye mal aanchalon ka subuksar aabshaar
sad-mauj-e-rang-o-nur hai lamhon ki fal par
bahte hujum sham ke lamhon ka sail hum
raqsan hain zehan jhumte qadmon ke tal par
uljhe hue hain bahs mein waraftagan-e-sham
hai guftugu adab ke uruj-o-zawal par
tai rah-guzar-e-pa hai na mauzu-e-guftugu
whiskey ke dhundalke hain jawab-o-sawal par
'ghaalib' ka zikr tha abhi 'shelley' par aa gae
pahunche 'mallarme' se jalal-o-jamal par
jhonkon ke sath sath koi taer-e-KHayal
aa baiThta hai zehan ki shadab Dal par
gard-e-safar se pyar hai manzil ka gham nahin
yun chal rahe hain rahguzar-e-mah-o-sal par
chhae hue hain soch ke sae kahin kahin
chhiTki hui hai chandni baam-e-KHayal par
har saya apni apni gupha mein luDhak gaya
hum log ghumte rahe sunsan mal par
Ghazal
Bikhra ke hum ghubar sa wahm-o-KHayal par
Rafiq Khawar Jaskani