bikhra hun jab main KHud yahan koi mujhe girae kyun
pahle se rakh rakh hun phir bhi koi bujhae kyun
isa na wo nabi koi adna sa aadmi koi
phir bhi salib-e-dard ko sar pe koi uThaen kyun
sare jo gham-gusar the kab ke raqib ban chuke
aise mein doston koi apna ye gham sunae kyun
yakta wo zat-e-akbari dil ye haqiro asghari
itni wasia shai bhala dil mein mere samae kyun
palta hamare KHun se hai ishq magar adu se hai
apna nahin jo bewafa hum ko yun aazmae kyun
subh ka waqt aae to KHud hi bujhega ye charagh
is ko sahar se peshtar koi magar bujhae kyun
jis par giri hai barq bhi jis pe hawa ki hai nazar
shaKHon mein aisi ai 'sahab' ghar bhi koi banae kyun
Ghazal
Bikhra hun jab main KHud yahan koi mujhe girae kyun
Ajay Sahaab