bikharte TuTte lamhon ko apna ham-safar jaana
ki tha is rah mein aaKHir hamein KHud bhi bikhar jaana
sar-e-dosh-e-hawa ek abr-pare ki tarah hum hain
kisi jhonke se puchhenge ki hai hum ko kidhar jaana
dil-e-awara kya paband-e-zanjir-e-talluq ho
na tha bas mein kisi ke bhi hawa ko qaid kar jaana
pas-e-zulmat koi suraj hamara muntazir hoga
isi ek wahm ko hum ne chiragh-e-rah-guzar jaana
hamein to sath dena hai rafiqan-e-talatum ka
mubarak tujh ko tanha is nadi ke par utar jaana
mere jalte hue ghar ki nishani bas yahi hogi
jahan is shahr mein kuchh raushni dekho Thahar jaana
suhane mausamon ki yaad sikhlaya tujhe kis ne
ufuq par dida o dil ke dhanak ban kar bikhar jaana
hisar-e-zabt mein rah kar maal-e-hasrat-e-dil kya
kisi qaidi parinde ki tarah ghuT ghuT ke mar jaana
dayar-e-KHamushi se koi rah rah kar bulata hai
hamein 'maKHmur' ek din hai usi aawaz par jaana
Ghazal
Bikharte TuTte lamhon ko apna ham-safar jaana
Makhmoor Saeedi