bikhar rahe the har ek samt kaenat ke rang
magar ye aankh ki jo DhunDti thi zat ke rang
hamare shahr mein kuchh log aise rahte hain
safar ki samt batate hain jin ko raat ke rang
ulajh ke rah gae chehre meri nigahon mein
kuchh itni tezi se badle the un ki baat ke rang
bas ek bar unhen khelne ka mauqa do
KHud in ki chaal bata degi sare mat ke rang
hawa chalegi to KHushbu meri bhi phailegi
main chhoD aai hun peDon pe apni baat ke rang
Ghazal
Bikhar rahe the har ek samt kaenat ke rang
Fatima Hasan