bikhar jaegi sham aahista bolo
taDak jaenge jam aahista bolo
na do daghon ke bhed aahon ko roko
na lo nalon ka nam aahista bolo
na le tanhai ki raaton mein ek din
KHamoshi intiqam aahista bolo
yahi hote hain aadab-e-mohabbat
ki jab lo us ka nam aahista bolo
na jaane kaun baiTha ho kamin mein
andheri hai ye sham aahista bolo
fughan-e-dil se kis ka dil pasija
ye hai sauda-e-KHam aahista bolo
abhi to rah mein diwar-o-dar hain
abhi do chaar gam aahista bolo
bahut hai sadma-e-yak-ah us ko
hai nazuk ye nizam aahista bolo
abhi to baada-e-ulfat ka 'haqqi'
piya hai ek jam aahista bolo
Ghazal
Bikhar jaegi sham aahista bolo
Shaanul Haq Haqqi