bikegi us ki hi dastar tai hai
ki jis ki qimat-e-kirdar tai hai
hua tha hadisa kuchh aur lekin
likhega aur kuchh aKHbar tai hai
baDe aangan pe itrao na itna
uThegi us mein bhi diwar tai hai
hai nalaeq magar sardar ka hai
banega beTa hi sardar tai hai
hai munsif hi giraftar-e-tassub
adalat mein hamari haar tai hai
na le ja hum ko us mahfil mein ai dil
jahan hona zalil-o-KHwar tai hai
hunar hai aise rishton ko nibhana
jahan har baat par takrar tai hai
sada sach bolte ho tum bhi 'azam'
tumhaare waste bhi dar tai hai
Ghazal
Bikegi uski hi dastar tai hai
Dr. Azam