اردو हिंदी
Bijliyan TuT paDin jab wo muqabil se uTha | Shaahi Shayari
bijliyan TuT paDin jab wo muqabil se uTha

Ghazal

Bijliyan TuT paDin jab wo muqabil se uTha

Fani Badayuni

;

bijliyan TuT paDin jab wo muqabil se uTha
mil ke palTi thin nigahen ki dhuan dil se uTha

jalwa mahsus sahi aankh ko aazad to kar
qaid-e-adab-e-tamasha bhi to mahfil se uTha

phir to mizrab-e-junun saz-e-ana-laila chheD
hae wo shor-e-anal-qais ki mahmil se uTha

iKHtiyar ek ada thi meri majburi ki
lutf-e-sai-e-amal is matlab-e-hasil se uTha

umr-e-ummid ke do din bhi giran the zalim
bar-e-farda na tere wada-e-baatil se uTha

KHabar-e-qafila-e-gum-shuda kis se puchhun
ek bagula bhi na KHak-e-rah-e-manzil se uTha

hosh jab tak hai gala ghonT ke mar jaane ka
dam-e-shamshir ka ehsan tere bismil se uTha

maut hasti pe wo tohmat thi ki aasan na uThi
zindagi mujh pe wo ilzam ki mushkil se uTha

kis ki kashti tah-e-girdab-e-fana ja pahunchi
shor-e-labbaik jo 'fani' lab-e-sahil se uTha