bijli si ek aur gira di zalim ne 
zabt ki sari khep jala di zalim ne 
pahli se main jaan chhuData phirta tha 
aaj nai taswir laga di zalim ne 
dil aankhon ke sath hi bahar aaya hai 
itni is ki pyas baDha di zalim ne 
dupaTTe ka parda bhi nahin rakkha aaj 
pabandi ek aur uTha di zalim ne 
us ke aage baat bhi karna mushkil hai 
honTon par bhi mohr laga di zalim ne 
ishq mein aisi choT lagai sine par 
ghazlon ki takmil kara di zalim ne
        Ghazal
Bijli si ek aur gira di zalim ne
Fakhr Abbas

