اردو हिंदी
Bite waqt ka chehra DhunDhta rahta hai | Shaahi Shayari
bite waqt ka chehra DhunDhta rahta hai

Ghazal

Bite waqt ka chehra DhunDhta rahta hai

Vijay Sharma Arsh

;

bite waqt ka chehra DhunDhta rahta hai
dil pagal hai kya kya DhunDhta rahta hai

KHamoshi bhi ek sada hi hai jis ko
sunne wala goya DhunDhta rahta hai

shabnam shabnam pighli pighli yaaden hain
mera gham to sahra DhunDhta rahta hai

us ne apni manzil hasil kar li hai
phir kyun ghar ka rasta DhunDhta rahta hai

dil sab se milta hai halke lahje mein
sab mein kuchh kuchh tujh sa DhunDhta rahta hai

bech diya gul-dan wirasat ka us ne
bhai mera ab gamla DhunDhta rahta hai

jeb mein dil thaile mein patthar le kar 'arsh'
shahr koi diwana DhunDhta rahta hai