bite KHwab ki aadi aankhen kaun unhen samjhae
har aahaT par dil yun dhaDke jaise tum ho aae
zid mein aa kar chhoD rahi hai un banhon ke sae
jal jaegi mom ki guDiya duniya dhup-sarae
sham hui to ghar ki har ek shai par aa kar jhapTe
aangan ki dahliz pe baiThe virani ke sae
har ek dhaDkan dard ki gahri Tis mein Dhal jati hai
raat gae jab yaad ka panchhi apne par phailae
andar aisa habs tha main ne khol diya darwaza
jis ne dil se jaana hai wo KHamoshi se jae
kis kis phul ki shadabi ko masKH karoge bolo!!!
ye to us ki den hai jis ko chahe wo mahkae
Ghazal
Bite KHwab ki aadi aankhen kaun unhen samjhae
Fariha Naqvi