bite hue dinon ki halawat kahan se laen
ek miThe miThe dard ki rahat kahan se laen
DhunDen kahan wo nala-e-shab-tab ka jamal
aah-e-sahar-gahi ki sabahat kahan se laen
samjhaen kaise dil ki nazakat ka majra
KHamoshi-e-nazar ki KHitabat kahan se laen
tark-e-talluqat ka ho jis se ehtimal
bebakiyon mein itni sadaqat kahan se laen
afsurdagi-e-zabt-e-alam aaj bhi sahi
lekin nashat-e-zabt-e-masarrat kahan se laen
har fath ke ghurur mein be-wajh be-sabab
ehsah-e-infial-e-hazimat kahan se laen
aasudgi-e-lutf-o-inayat ke sath sath
dil mein dabi dabi si qayamat kahan se laen
wo josh-e-iztirab pe kuchh sochne ke baad
hairat kahan se laen nadamat kahan se laen
har lahza taza taza balaon ka samna
na-azmuda-kar ki jurat kahan se laen
hai aaj bhi nigah-e-mohabbat ki aarzu
par aisi ek nigah ki qimat kahan se laen
sab kuchh nasib ho bhi to ai shorish-e-hayat
tujh se nazar churane ki aadat kahan se laen
Ghazal
Bite hue dinon ki halawat kahan se laen
Moin Ahsan Jazbi