اردو हिंदी
Bite baras ki yaad ka paikar utar de | Shaahi Shayari
bite baras ki yaad ka paikar utar de

Ghazal

Bite baras ki yaad ka paikar utar de

Prem Kumar Nazar

;

bite baras ki yaad ka paikar utar de
diwar se purana calendar utar de

rakh di hai us ne khol ke KHud jism ki kitab
sada waraq pe le koi manzar utar de

bhiga hua libas badan bhi jalaega
us se kaho ki sar se wo gagar utar de

donon mein ek ko to milin sukh ki saaten
la apna bojh bhi mere sar par utar de

phir kya karoge hai to usi ka buna hua
kah de agar wo la ye sweater utar de

yun jhanjhana ke TuTta tara bikhar gaya
jaise urus-e-shab koi zewar utar de

chahe hai jaan-o-mal ki jo KHairiyat 'nazar'
shahr-e-hawas se dur hi lashkar utar de