اردو हिंदी
Bit gaya hangam-e-qayamat roz-e-qayamat aaj bhi hai | Shaahi Shayari
bit gaya hangam-e-qayamat roz-e-qayamat aaj bhi hai

Ghazal

Bit gaya hangam-e-qayamat roz-e-qayamat aaj bhi hai

Shakeel Badayuni

;

bit gaya hangam-e-qayamat roz-e-qayamat aaj bhi hai
tark-e-talluq kaam na aaya un se mohabbat aaj bhi hai

saKHt sahi hasti ke marahil-e-ishq mein rahat aaj bhi hai
ai gham-e-jaanan ho na gurezan teri zarurat aaj bhi hai

gulshan-e-husn-e-yar mein karte hain jo talash-e-kaif-o-sukun
lakh hai barham nazm-e-do-alam zulf mein nikhat aaj bhi hai

nur-e-sahar hai jaan-e-tasawwur zulmat-e-shab se kaun Dare
lakh bani hai zist jahannam samne jannat aaj bhi hai

subh-e-bahaar aai thi le kar rut bhi nai shaKHen bhi nai
ghuncha-o-gul se pyar hai lekin shaKH se nafrat aaj bhi hai

arz-e-tamanna kar ke ganwaya hum ne bharam KHuddari ka
ho gai go takmil-e-tamanna dil ko nadamat aaj bhi hai

kar ke sitam ki parda-poshi hum ne unhen be-aib kiya
warna 'shakil' apne honTon par harf-e-shikayat aaj bhi hai