اردو हिंदी
Biswin sadi ke hum shair-e-pareshan hain | Shaahi Shayari
biswin sadi ke hum shair-e-pareshan hain

Ghazal

Biswin sadi ke hum shair-e-pareshan hain

Bano Tahira Sayeed

;

biswin sadi ke hum shair-e-pareshan hain
masalon mein uljhe hain fikr-o-gham mein ghaltan hain

Dub kar ubhar aae maut se gale mil kar
apni saKHt-jaani ke KHud hi hum nigahban hain

hum to Thahre diwane hum to Thahre sahrai
ahl-e-fahm-o-danish ke chaak kyun gareban hain

kab hisab manga tha aap ki jafaon ka
kyun jhuki jhuki nazren kis liye pasheman hain

aaj tak hai gham taza dost se bichhaDne ka
ab bhi aankhen roti hain zaKHm-e-dil-farozan hain

sab ke hum rahe apne kaun hai magar apna
DhunDhte hain apnon ko hum bhi kitne nadan hain

'tahira' zamane ki karwaTon ka kya kahna
honge ye bhi virane aaj jo gulistan hain