اردو हिंदी
Binai se bahar kabhi andar mujhe dekhe | Shaahi Shayari
binai se bahar kabhi andar mujhe dekhe

Ghazal

Binai se bahar kabhi andar mujhe dekhe

Zafar Iqbal

;

binai se bahar kabhi andar mujhe dekhe
mumkin hi nahin hai wo barabar mujhe dekhe

ho jae kabhi raat mere dam se bhi raushan
wo shama-e-tamasha jo ghaDi-bhar mujhe dekhe

main KHud mein to maujud hi mushkil se rahunga
har dekhne wala mere bahar mujhe dekhe

DhunDe koi mujh ko to isi KHak-e-hawas mein
ya silsila-e-sail-e-hawa par mujhe dekhe

mahaul hi kuchh ho chaman-e-KHwab ka aisa
bulbul mujhe samjhe to gul-e-tar mujhe dekhe

ab dekhna hi shart ye Thahri hai ki yun ho
main manzar-e-nayab ko manzar mujhe dekhe

dariya ki pazirai mein shak to nahin lekin
ek lahar ho aisi bhi ki uTh kar mujhe dekhe

main bar digar hi kahin aata hun samajh mein
jo dekhna chahe so mukarrar mujhe dekhe

mera nazar aana hai 'zafar' baat hi kuchh aur
jo dekh nahin sakta wo aksar mujhe dekhe