binai ko palkon se haTane ki paDi hai
shahkar pe jo gard zamane ki paDi hai
aasan hua sach kahna to bolega muarriKH
filhaal use jaan bachane ki paDi hai
chhoTa sa parinda hai magar sai to dekho
jangal se baDi aag bujhane ki paDi hai
chhalni hua jata hai idhar apna kaleja
yaron ko udhar Thik nishane ki paDi hai
haalat 'shahab' aankh uThane nahin dete
bachchon ko magar id manane ki paDi hai
Ghazal
Binai ko palkon se haTane ki paDi hai
Shahab Safdar