bin hawa ke hathon mein hai lahre jadu wale hain
chandan se chikne shanon par machal uThe do kale hain
jangal ki ya bazaron ki dhul uDi hai swagat ko
hum ne ghar ke bahar jab bhi apne panw nikale hain
kaisa zamana aaya hai ye ulTi rit hai ulTi baat
phulon ko kanTe Daste hain jo in ke rakhwale hain
ghar ke dukhDe shahr ke gham aur des bides ki chintaen
in mein kuchh aawara kutte hain kuchh hum ne pale hain
ek usi ko dekh na pae warna shahr ki saDkon par
achchhi achchhi poshaken hain achchhi surat wale hain
raat mein dil ko kya sujhi hai us ke ganw ko chalne ki
jangal mein chite rahte hain rah mein naddi nale hain
donon ka milna mushkil hai donon hain majbur bahut
us ke panw mein mehndi lagi hai mere panw mein chhaale hain
Ghazal
Bin hawa ke hathon mein hai lahre jadu wale hain
Ameeq Hanafi