اردو हिंदी
Bimar sa hai jism-e-sahar kanp raha hai | Shaahi Shayari
bimar sa hai jism-e-sahar kanp raha hai

Ghazal

Bimar sa hai jism-e-sahar kanp raha hai

Suleman Khumar

;

bimar sa hai jism-e-sahar kanp raha hai
ye kis ne ujalon ka lahu chus liya hai

ai dost teri yaad ka mahtab-e-daraKHshan
ab yas ki ghanghor ghaTaon mein chhupa hai

is daur mein sunsan se hain baam-o-dar-e-zist
naghmon ne KHamoshi ka kafan oDh liya hai

sannaTon ke kaf par meri taswir bani hai
tanhai ke aanchal pe mera nam likha hai

main shahr ki jalti hui saDkon pe khaDa hun
wo dasht mein KHaron mein mujhe DhunD raha hai