bimar ko maraz ki dawa deni chahiye
main pina chahta hun pila deni chahiye
allah barkaton se nawazega ishq mein
hai jitni punji pas laga deni chahiye
dil bhi kisi faqir ke hujre se kam nahin
duniya yahin pe la ke chhupa deni chahiye
main KHud bhi karna chahta hun apna samna
tujh ko bhi ab naqab uTha deni chahiye
main phul hun to phul ko gul-dan ho nasib
main aag hun to aag bujha deni chahiye
main taj hun to taj ko sar par sajaen log
main KHak hun to KHak uDa deni chahiye
main jabr hun to jabr ki taid band ho
main sabr hun to mujh ko dua deni chahiye
main KHwab hun to KHwab se chaunkaiye mujhe
main nind hun to nind uDa deni chahiye
sach baat kaun hai jo sar-e-am kah sake
main kah raha hun mujh ko saza deni chahiye
Ghazal
Bimar ko maraz ki dawa deni chahiye
Rahat Indori