اردو हिंदी
Bimar-e-gham ka koi mudawa na kijiye | Shaahi Shayari
bimar-e-gham ka koi mudawa na kijiye

Ghazal

Bimar-e-gham ka koi mudawa na kijiye

Talib Baghpati

;

bimar-e-gham ka koi mudawa na kijiye
yani sitamgari bhi gawara na kijiye

ruswai hai to ye bhi gawara na kijiye
yani pas-e-KHayal bhi aaya na kijiye

zarf-e-nigah chahiye didar ke liye
ruKH ko pas-e-naqab chhupaya na kijiye

dil shauq se jalaiye inkar hai kise
lekin jala jala ke bujhaya na kijiye

parda nigah ka hai to kaisi KHususiyat
apni nigah-e-naz se parda na kijiye

kal ghair ki gali mein qayamat ka zikr tha
sharmaiye huzur bahana na kijiye

bas aap ka sitam hi karam hai mere liye
lillah ghair se mujhe puchha na kijiye

pabanda-e-wafa hai to phir muddaa se kaam
mar jaiye kisi ki tamanna na kijiye

'talib' hadis-e-ishq tawajjoh talab sahi
yun dastan bana ke sunaya na kijiye