bim-o-raja mein qaid har ek mah-o-sal hai
jaise ye zindagi bhi koi yarghamal hai
uljha hun aati jati sadaon se barha
bichhDa hun har nawa se ki KHwab-o-KHayal hai
TuTa hun is tarah ki bikharta chala gaya
bikhra hun is tarah ki sanwarna muhaal hai
is jabr-o-iKHtiyar se pamal main bhi hun
ai ruh-e-ehtijaj bata kya KHayal hai
viran rahguzar pe uDti hai roz KHak
ab tak meri talash mein baad-e-shimal hai
surat-gari ke shauq ne gumrah kar diya
ab main meri jabin mera dast-e-sawal hai
bas yunhi mat guzar kabhi sahba se baat kar
kahte hain us se milna baDa nek fal hai

Ghazal
Bim-o-raja mein qaid har ek mah-o-sal hai
Sahba Waheed