bich samundar rahta hun
lekin phir bhi pyasa hun
apne bachchon ki nazron mein
main do din ka bachcha hun
zulm sahun KHamosh rahun
kya main ek farishta hun
sadiyan paDh kar duniya ki
lamhe us ke samjha hun
sach kahne ki aadat hai
yun main mujrim Thahra hun
bhiD mein tanha rahne ka
zahr hamesha pita hun
sab apne se lagte hain
main bhi kitna sidha hun
KHushbu le kar chahat ki
basti basti phirta hun
Ghazal
Bich samundar rahta hun
Mujahid Faraaz