اردو हिंदी
BigDen wo humse ki hum un se sab mein ek lazzat hoti hai | Shaahi Shayari
bigDen wo humse ki hum un se sab mein ek lazzat hoti hai

Ghazal

BigDen wo humse ki hum un se sab mein ek lazzat hoti hai

Jigar Barelvi

;

bigDen wo hum se ki hum un se sab mein ek lazzat hoti hai
jine mein baDa lutf aata hai jab dil se mohabbat hoti hai

hum kis se puchhen tum hi kaho kuchh kaam ye jina aaya bhi
hum loTte hain angaron par kuchh tum ko masarrat hoti hai

dozaKH ko yahi jannat kar de jannat ko yahi dozaKH kar de
hum tujh ko bataen kya hamdam kya chiz mohabbat hoti hai

hum baada-o-jam ke parde mein kuchh raaz-e-junun kah jate hain
jab ishq ka nashsha chaDhta hai maKHmur tabiat hoti hai

hum marte hain ya jite hain tum shad raho aabaad raho
kya tum se kahen kya hota hai jab hijr ki saat hoti hai

ab is mein hamari kya hai KHata majbur se hain lachaar se hain
dil hai to mohabbat karte hain tum ho to mohabbat hoti hai

parwarda-e-sahil kya jaane aasuda-e-manzil kya samjhe
jo dur hain sahil-o-manzil se un ki kya haalat hoti hai

jab josh-e-masarrat hota hai hum aap se khoe jate hain
hasti mein bharam aa jata hai jab gham ki shiddat hoti hai

main husn ka ek pujari hun hai shairi husn ki ek dewi
jo fikr-e-suKHan bhi hoti hai ham-rang-e-ibaadat hoti hai