اردو हिंदी
BigaDne se tumhaare kya kahun main kya bigaDta hai | Shaahi Shayari
bigaDne se tumhaare kya kahun main kya bigaDta hai

Ghazal

BigaDne se tumhaare kya kahun main kya bigaDta hai

Nizam Rampuri

;

bigaDne se tumhaare kya kahun main kya bigaDta hai
kaleja munh ko aa jata hai dil aisa bigaDta hai

shab-e-gham mein paDe tanha tasalli dil ki karte hain
yahi aalam ka naqsha hai sada banta bigaDta hai

wo yaad aata hai aalam wasl ki shab ka wo aaraish
wo kahna chhu na is dam zulf ka halqa bigaDta hai

hamare uTh ke jaane mein teri kya baat banti hai
hamare yan ke rahne mein tera kya kya bigaDta hai

wo kuchh ho jaana ranjish us pari se baaton baaton mein
wo kahna pher kar munh ye to kuchh achchha bigaDta hai

jo baad-az-umr KHat likhkha to ye taqdir ka likhkha
ibarat gar kahin banti hai to mana bigaDta hai

agar KHamosh rahta hun to ji par mere banti hai
agar kuchh munh se kahta hun to wo kaisa bigaDta hai

sifarish par bigaD kar hae wo us shoKH ka kahna
mana leta use main par mera shewa bigaDta hai

'nizam' us ki inayat hai to phir kis baat ka gham hai
banata hai wo jis ka kaam kab us ka bigaDta hai