اردو हिंदी
BigaD jate the sun kar yaad hai kuchh wo zamana bhi | Shaahi Shayari
bigaD jate the sun kar yaad hai kuchh wo zamana bhi

Ghazal

BigaD jate the sun kar yaad hai kuchh wo zamana bhi

Hafeez Jaunpuri

;

bigaD jate the sun kar yaad hai kuchh wo zamana bhi
koi karta tha jab meri shikayat ghaebana bhi

wo jis par mehrban hote hain duniya us ki hoti hai
nazar un ki palaTte hi palaTta hai zamana bhi

suna karta hun tane hijr mein kya kya raqibon ke
bana hun is mohabbat mein malamat ka nishana bhi

yahan bhi farz hai zahid adab se sar jhuka lena
mere nazdik kaba hai kisi ka aastana bhi

fareb-e-dam mein lai hai kuchh sayyaad ki KHatir
qafas mein khinch kar laya hamein kuchh aab-o-dana bhi

jala kar dil mera sayyaad ka ThanDa kaleja kar
kahin ai barq jaldi phunk mera aashiyana bhi

bigaDte der hoti hai na bante der hoti hai
mizaj-e-yar se kuchh milta-julta hai zamana bhi

hasin paDh kar ghazal meri mere mushtaq hote hain
musaKHKHar dil ko karta hai kalam-e-ashiqana bhi

na bhulegi hafiz ahbab ko ye sarguzisht apni
jahan mein yaad rah jaega kuchh apna fasana bhi