bigaD mein bhi banao hai aadmi ke liye
ujaD raha hun main ek taza zindagi ke liye
badal gae hain zamane ke sath husn ke taur
kuchh aur chahte ab rasm-e-ashiqi ke liye
ye soch kar ki inayat kiya hua hai tera
dua na mangi kabhi dard mein kami ke liye
mulahiza ho ye isar-e-phul hans hans kar
ujaD raha hai kali ki shaguftagi ke liye
guman tak mein na thin jibrail ke jo kabhi
wo rifaten hain yaqin aaj aadmi ke liye
pila ke zahr hi be-gana-e-do-alam ko
taras gaya hun main thoDi si be-KHudi ke liye
kuchh aur tegh-e-wafa zahr mein bujhae ja
yahi hai aab-e-hayat aaj zindagi ke liye
Ghazal
BigaD mein bhi banao hai aadmi ke liye
Ain Salam