bidat masnun ho gai hai
ummat matun ho gai hai
kya kahna teri dua ka zahid
gardun ka sutun ho gai hai
rahne do ajal jo ghat mein hai
mujh par maftun ho gai hai
hasrat ko ghubar-e-dil mein DhunDo
zinda madfun ho gai hai
wahshat ka tha nam awwal awwal
ab to wo junun ho gai hai
waiz ne buri nazar se dekha
mai shishe mein KHun ho gai hai
aariz ke qarin gulab ka phul
ham-rang ki dun ho gai hai
banda hun tera zaban-e-shirin
duniya mamnun ho gai hai
'haidar' shab-e-gham mein marg-e-nagah
shadi ka shugun ho gai hai

Ghazal
Bidat masnun ho gai hai
Nazm tabaa-tabaa.ii