bichhDen to shahar bhar mein kisi ko pata na ho
tum ko bhi kuchh malal hamein bhi gila na ho
majlis ki KHwab-gah jahan bhi nazar mili
un ko yahi tha KHauf koi dekhta na ho
jin hadson ki aag se daman-e-dil jala
mumkin nahin charagh-e-suKHan bhi jala na ho
meri ghazal mein jaisa tarannum hai soz hai
akasr hua guman ki usi ki sada na ho
un se alag hua to yahi fikr hai 'naim'
un ka tapak-o-mehr kahin waqia na ho
Ghazal
BichhDen to shahar bhar mein kisi ko pata na ho
Hasan Nayeem