bichhaDte waqt to kuchh us mein gham-gusari thi
wo aankh phir to har ek kaifiyat se aari thi
na jaane aaj hawaon ki zad pe kaun aaya
na jaane aaj ki shab kis diye ki bari thi
zara si der ko chamki to thi ghanim ki tegh
sawad-e-shahr mein phir raushni hamari thi
safar se lauTe to jaise yaqin nahin aata
ki sari umr isi shahr mein guzari thi
harif tegh se mein apni aagahi se laDa
ye adl waqt kare kis ki zarb kari thi
dilon ke khel bhi kaise ajib khel hain 'shauq'
ki main udas tha bazi kisi ne haari thi
Ghazal
BichhaDte waqt to kuchh usMein gham-gusari thi
Razi Akhtar Shauq