bichhaDte TuTte rishton ko hum ne dekha tha
ye waqt hum pe bhi guzrega ye na socha tha
nami thi palkon pe bhiga hua sa takiya tha
pata chala ki koi KHwab hum ne dekha tha
hamare zehn mein ab tak usi ki hai KHushbu
tumhaare sehn mein bele ka ek pauda tha
khurach ke phenk dun kis tarah dagh yaadon ke
main bhul jata wo sab kuchh to kitna achchha tha
hamare haal ko dekho nigah-e-ibrat se
ye baat hum se na puchho ki kaun kaisa tha
janab-e-KHizr kahan aap mujh ko chhoDenge
jo sath chhoD gaya wo bhi aap jaisa tha
milega kyun kisi dushman ki aastin pe lahu
tumhaara 'shams' nigah-e-karam ka mara tha
Ghazal
BichhaDte TuTte rishton ko humne dekha tha
Shams Farrukhabadi