bichhaDte damanon mein phul ki kuchh pattiyan rakh do
talluq ki giranbari mein thoDi narmiyan rakh do
bhaTak jati hain tum se dur chehron ke taaqub mein
jo tum chaho meri aankhon pe apni ungliyan rakh do
baraste baadalon se ghar ka aangan Dub to jae
abhi kuchh der kaghaz ki bani ye kashtiyan rakh do
dhuan cigarette ka botal ka nasha sab dushman-e-jaan hain
koi kahta hai apne hath se ye talKHiyan rakh do
bahut achchha hai yaro mahfilon mein TuT kar milna
koi baDhti hui duri bhi apne darmiyan rakh do
nuqush-e-KHal-o-KHad mein dil-nawazi ki ada kam hai
hijab-amez aankhon mein bhi thoDi shoKHiyan rakh do
hamin par KHatm kyun ho dastan-e-KHana-virani
jo ghar sahra nazar aae to us mein bijliyan rakh do
Ghazal
BichhaDte damanon mein phul ki kuchh pattiyan rakh do
Zubair Rizvi