bichhaD ke mujh se ye mashghala iKHtiyar karna
hawa se Darna bujhe charaghon se pyar karna
khuli zaminon mein jab bhi sarson ke phul mahken
tum aisi rut mein sada mera intizar karna
jo log chahen to phir tumhein yaad bhi na aaen
kabhi kabhi tum mujhe bhi un mein shumar karna
kisi ko ilzam-e-bewafai kabhi na dena
meri tarah apne aap ko sogwar karna
tamam wade kahan talak yaad rakh sakoge
jo bhul jaen wo ahd bhi ustuwar karna
ye kis ki aankhon ne baadalon ko sikha diya hai
ki sina-e-sang se rawan aabshaar karna
main zindagi se na khul saka is liye bhi 'mohsin'
ki bahte pani pe kab talak e'tibar karna
Ghazal
BichhaD ke mujhse ye mashghala iKHtiyar karna
Mohsin Naqvi