bichhaD ke bhi mila ruswaiyon ka qahr tujhe
chhupa saka na tere aansuon ka shahr tujhe
ye chaDhti dhup ka malbus utar de sar-e-sham
utarti dhup mein ab dekhta hai shahr tujhe
har ek sail-e-sada ko tu kar gaya payab
Dubo saki na meri chahaton ki nahr tujhe
bikharti kirnon ko aangan mein thamne wale
mah-e-tamam ka pina paDega zahr tujhe
tu chhoD aaya jise Dubte jazire mein
dikhai dega wahi chehra lahr lahr tujhe
badan ko toD ke bahar nikal bhi aa kisi shab
hisar-e-jism mein jine na dega dahr tujhe
'musawwir' us ka mudawa bhi tu ne kuchh socha
wo rog jo liye phirta hai shahr shahr tujhe
Ghazal
BichhaD ke bhi mila ruswaiyon ka qahr tujhe
Musavvir Sabzwari