bichhaD kar un se yun gham mein guzari zindagi hum ne
sahar tarik dekhi surKH pai chandni hum ne
hamein dawa nahin tanha nibahi dosti hum ne
mohabbat ko sambhaala hai kabhi tum ne kabhi hum ne
KHushi gham mein nazar aai KHushi mein gham nazar aaya
abhi duniya pe Dali thi nigah-e-sarsari hum ne
baDi bechaargi nikli bahut hi narasi pai
azal ke rose baDh kar le to li thi bandagi hum ne
jahan saz-e-mohabbat par mughanni ga nahin sakta
wahan naghma alapa hai kabhi tum ne kabhi hum ne
tumhein hoge nigah-e-shauq ka markaz tumhin hoge
agar is zindagi ke baad pai zindagi hum ne
hamare samne har-waqt anjam-e-shikayat thi
kahi ko an-kahi kar di suni ko an-suni hum ne
bharegi is mein rang 'ehsan' duniya inqilabon se
lahu se apne ek taswir aisi khinch din hum ne
Ghazal
BichhaD kar un se yun gham mein guzari zindagi humne
Ehsan Danish