اردو हिंदी
BichhaD gaya tha koi KHwab-e-dil-nashin mujhse | Shaahi Shayari
bichhaD gaya tha koi KHwab-e-dil-nashin mujhse

Ghazal

BichhaD gaya tha koi KHwab-e-dil-nashin mujhse

Shahid Zaki

;

bichhaD gaya tha koi KHwab-e-dil-nashin mujh se
bahut dinon meri aankhen juda rahin mujh se

main sans tak nahin leta parai KHushbu mein
jhijhak rahi hai yunhi shaKH-e-yasmin mujh se

mere gunah ki mujh ko saza nahin deta
mera KHuda kahin naraaz to nahin mujh se

ye shahkar kisi zid ka shaKHsana hai
ulajh raha tha bahut naqsh-e-awwalin mujh se

main taKHt par hun magar yun to KHak-zada hi
gurez karte hain kyun boriya-nashin mujh se

ujaD ujaD ke base hain mere dar-o-diwar
bichhaD bichhaD ke mile hain mere makin mujh se

bikhar rahi hai tap-e-intiqam se meri KHak
guzar rahi hai koi mauj-e-atishin mujh se

muhaal hai ki tamasha tamam ho 'shahid'
tamash-bin se main KHush tamash-bin mujh se