اردو हिंदी
BichhaD gae the kisi rose khel khel mein hum | Shaahi Shayari
bichhaD gae the kisi rose khel khel mein hum

Ghazal

BichhaD gae the kisi rose khel khel mein hum

Shozeb Kashir

;

bichhaD gae the kisi rose khel khel mein hum
ki ek sath nahin chaDh sake the rail mein hum

zara sa shor-e-baghawat uTha aur us ke baad
wazir taKHt pe baiThe the aur jail mein hum

pata chala wo koi aam panting nahin hai
aur us ko bechne wale the aaj sale mein hum

jafa ki ek hi tili se kaam ho jata
ki pure bhige hue the ana ke tel mein hum

jo shar-pasand hain nafrat ke bij bote rahen
juTe rahenge mohabbat ki dagh-bel mein hum

bas ek bar hamare dilon ke tar mile
phir us ke baad nahin aae tal-mel mein hum

ye shairi to meri jaan bas ek bahana hai
sharik yun bhi nahin hote khel-wel mein hum

suKHan ka tausan-e-chaalak be-lagam nahin
hamein hai pas-e-riwayat so hain nakel mein hum

wahan hamare qabilon mein jang chhiD gai thi
so thar ke bhage hue aa base the kel mein hum

ye ek dukh to koi masala nahin 'kashir'
pale baDe hain isi gham ki rel-pel mein hum