bhulna chahta kahan hun main
dard hai aur bas rawan hun main
aaj kuchh yaad aa rahi ho yun
tum zamin aur aasman hun main
kya hua jo hisab manga hai
kya ghamon ki koi dukan hun main
raushni kuchh charagh ki lao
jis jagah dafn hun nihan hun main
din dikhae zamane ne aise
ab nahin mir-e-karwan hun main
sadgi hai ada mein us ki jo
ishq mein yar raegan hun main
zat 'KHuddar' ki dikhi jab jab
shairi ka hasin saman hun main

Ghazal
Bhulna chahta kahan hun main
Madhukar Jha Khuddar