bhuli hui rahon ka safar kaisa lagega
ab lauT ke jaenge to ghar kaisa lagega
hangama-e-hasti se nimaT kar jo chalenge
wo nind ka KHamosh nagar kaisa lagega
us ne to bulaya hai magar soch raha hun
mahfil mein koi KHak-basar kaisa lagega
andhe hain jo duniya ki chaka-chaund se un ko
suraj ka sawa neze pe sar kaisa lagega
jis roz ki KHwabon mein koi shakl na hogi
be-chehragi-e-KHwab se Dar kaisa lagega
Ghazal
Bhuli hui rahon ka safar kaisa lagega
Tariq Butt