bhuli-bisri KHwahishon ka bojh aankhon par na rakh
KHub-surat aainon mein gham ka pas-manzar na rakh
dekh baDh kar shoKHiyan maujon ki aur qismat ka khel
kashtiyan dariya ke sanjida kinaron par na rakh
ya to uD ja sath le kar qaid ki majburiyan
warna apni juraton ka nam baal-o-par na rakh
hum to sar rakhte hain sajdon ke liye majbur hain
tu agar sajdon ka qatil hai to sang-e-dar na rakh
dene wale sar diya hai to koi sauda abhi de
warna in kandhon pe ye bekar bar-e-sar na rakh
bewafai ki alamat ban chuke asnam sab
dil ke but-KHane mein 'raunaq' ab koi patthar na rakh

Ghazal
Bhuli-bisri KHwahishon ka bojh aankhon par na rakh
Raunaq Raza