bhuli-bisri baaton se kya tashkil-e-rudad karen
hum ko to kuchh yaad nahin hai aap hi kuchh irshad karen
pahle-pahal jab aap ka joban itna shahr-ashob na tha
ek mushtaq se sada-dil insan ki parastish yaad karen
aap se mumkin hai dil-jui yazdan ki ye rit nahin
jis ko sun kar chup rahna hai us se kya fariyaad karen
ishq ne saunpa hai kaam apna ab to nibhana hi hoga
main bhi kuchh koshish karta hun aap bhi kuchh imdad karen
juzw-e-tabiat ban jaen to jaur karam ho jate hain
lutf na ab raij farmaen sirf sitam ijad karen
Ghazal
Bhuli-bisri baaton se kya tashkil-e-rudad karen
Abdul Hamid Adam