bhuli-bisri baat hai lekin ab tak bhul na pae hum
muTThi bhar taron ki KHatir apna chand ganwae hum
ab to tumhaare hisse ka bhi pyar hamein karna paDta hai
tum se sun kar jitne qisse yaad the sab dohrae hum
tum hote to betabi se hum ko laga lete sine se
jin raaton mein dukh jhele hain jin mein ranj uThae hum
nind kahan ab to rahti hai aaankhon mein zahrab ki dhund
miTTi ka dil chir ke sare KHwabon ko dab aae hum
raat mili to de gai hum ko thoDi si pahchan
suraj suraj din chamka to ho gae aap parae hum
jhuTi si ek aas pe shayad puchh le koi dil ka haal
chehre ka kashkol liye phirte hain rup banae hum
Ghazal
Bhuli-bisri baat hai lekin ab tak bhul na pae hum
Siddique Mujibi