bhule se kabhi meri jaanib jab un ki nazar ho jati hai
hangame bapa ho jate hain aalam ko KHabar ho jati hai
meri shab-e-furqat ki zulmat marhun-e-tajalli ho na saki
hogi wo kisi ke wasl ki shab jis shab ki sahar ho jati hai
kuchh din aise bhi aate hain kaTe se nahin jo kaTte hain
kuchh aisi bhi raaten aati hain baaton mein sahar ho jati hai
shamshad khaDa munh takta hai hairani-e-nargis kya kahiye
gulzar mein jab wo aata hai us gul ko nazar ho jati hai
eajaz-e-tajalli to dekho wo samne jab aa jate hain
betabi-e-dil baDh jati hai taskin-e-jigar ho jati hai
maiKHane mein sab kuchh milta hai ye shaiKH-o-barahman kya jaanen
yun dair-o-haram ke jhagDon mein ek umr basar ho jati hai
wo shauq bhari nazren uTh kar ek hashr bapa kar deti hain
duniya-e-mohabbat ki har shai tab zer-o-zabar ho jati hai
jab shauq ki aankhon mein raqsan kaunain ke jalwe hote hain
manzil wahin KHud khinch aati hai takmil-e-safar ho jati hai
Ghazal
Bhule se kabhi meri jaanib jab unki nazar ho jati hai
Shauq Bijnori