bhule hue hain sab ki hai kar-e-jahan bahut
lekin wo ek yaad hai dil par garan bahut
kuchh raftagan ke gham ne bhi rakkha hamein niDhaal
kuchh sadma-ha-e-nau se rahe nim-jaan bahut
hum ko na zulf-e-yar na diwar se gharaz
hum ko to yaad-e-yar ki parchhaiyan bahut
wo sard-mehriyan ki hamein rakh kar gain
sunte hain pahle hum bhi the aatish-ba-jaan bahut
ek mauj-e-fitna-sar ki rawan har nafas mein hai
har dam yaqin se pahle uThe hain guman bahut
ab ke junun mein mauj-e-saba ka bhi hath hai
mauj-e-saba ki ab ke uThi sargiran bahut
ab ye KHabar nahin wo samundar hai ya sarab
apne yahan hai tishnagi-e-jism-o-jaan bahut
sahra se warna apna ilaqa nahin hai kuchh
aashuftagi-e-sar ki hawa hai yahan bahut
Ghazal
Bhule hue hain sab ki hai kar-e-jahan bahut
Asif Jamal